Tuesday, January 20, 2009

Kabhie Kabhie - In praise of Sahir Ludhianvi .

Talkhiyaan by Sahir Ludhianvi has lovely poetry , perhaps the one made more famous by the baritone voice of Amitabh Bacchan in the movie Kabhie Kabhie .

Kabhii kabhii mere dil mein Khayaal aataa hai
key zindagii teri zulfon ke narm chaaon mein guzarne paati to shaadaab ho bhi saktii thi

Ye teeragi jo meri zeest ka muqaddar hai
teri i nazar ki shu’aaon mein kho bhi sakti thii


Ajab na thaa ke main begaana-e-alam ho kar
teri jamaal ki ra’anaaiyon mein kho rahtaa

Tera gudaaz badan teri neembaaz aankhein
Inheen haseen fazaanon mein mahv ho rahtaa

Pukaarti mujhe jab talKhiyaan zamaane ki
Tire labon se halaavat ke ghoont pee letaa

Hayaat cheekhti phirti barhanaa sar aur main
Ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke jee letaa

Magar ye ho na sakaa aur ab ye ‘aalam hai
Key tuu nahiin Tera Gham , teri justajoo bhi nahiin

Guzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaise ise kisii ke sahaare ki aarzoo bhi nahiin
Zamaane bhar ke dukhon ko lagaa chukaa houn gale

Guzar rahaa houn kuchh anjaani rah-guzaaron se
muheeb saaye meri samt barhte aate hainhayaat-o-maut ke purhaul Khaarzaaron se

Na koii jaadaa, na manzil, na roshnii ka suraagbhaTak rahii hai Khalaaon mein zindagii meri
Inhii Khalaaon mein rah jaaoungaa kabhii kho kar


Main jaantaa houn mere ham nafas magar yuun hi
kabhi kabhi mere dil mein Khayaal aataa hai

No comments: