Friday, April 24, 2009

Kuch Khusbooian Yaadon ke Jungle Se

Jab jaan jao to batla daina,
Paas bula kay samjha daina,
ab itne mut'hammil zaat to ho,
kay paas bitha kay na utha daina,

utha kar, phir yeh bhi na kehna,
kay aj kay bad bhula daina,

yaad nidarad, ruye chashm-e-bina,
dekhna aisa kay ankhein chura daina,
par ab ki baar phir soch pe haawi,ho jau agar,
to jhuthla daina,
khud ko kehna,
khawab hai yeh,
gaye waqt ko kia sadaa daina?


A very talented answer


Kya bataein ki kitna jaan payein hain
Ya puchhein ki abhi bhi shuba hai app ko
Nahi jaante ya nasamajh ban-ne ki koshish karte hain aap
Ke hamne ta-umr bita di samajhne mein aap ko

Aap hum se poochhte hain ki bardasht kar payenge saath
Hum to taraste hain aap ki har baat ko
Bhuulane ki to baat hi mat kijiye
Hum to yaadon mein sambhal kar rakhte hain har mulakat ko
Hai shikwa har mulakat ke baad ke akelepan ka
Na jane kyon saza milti hai aisi jo na bardash ho

Kyon jhuthlaein hum apni aankhon ki nami ko
Jo gar na aaye to adhuri aapki har yaad ho
Hum to sahej kar rakhte hain aapka har khwab
Kya pata kabhi aap mange har yaad ke hisaab ko
Nahi rakhte shikwa hum beete waqt se
Aur na hi aap ko waqt ke saye mein chhodte hain
Rehta hai saath aapka hardum
Phir vo chahe khayalon mein hi kyon na ho

No comments: