Hume ye dhunn hai ke khushboo
Ko hum tu dekhenge
Yaqeen hai ke sitaaron
Ko barh kar chuu lenge
Khula yeh raaz bicharna
Bhee tha baharoon ko
Kisi kay hath nahin
Choo sakay sitaroon ko
Kabhi dareechoon main shammen
Jo hum jalaatay hain
To geet lahjay khayaloon
Mein gungunatay hain.
Yesterday was a time for home truths ... Zindagi aasan kyu nahi ho sakti ... Jo chaiye Vo mil Kyu nahi sakta...
To is tarha ek safar khatam hua,
Aur dosra shuru ho raha hai…
Peeche murr ke dekhti hon tu raaste ke charaagh bohuuut duur reh gaye hain.
Aur aage abhi dhund hai.
Ye chattay gi,Tab andaaza hoga ke raastay main kitnaaaa ujala hai.
Aur yun bhi aasmaano se ujaalay tu kam hi utartay hain.
Apne apne raaston ke charaagh khudi jaalatay hue aage Barhna hai tu phir shikayat kaisi?
Kaisi mayoosi?
Jab charaagh hi jaalana thehra,Tu kisi bhi raastay main jalaa lenge!
- Dr Sheena
No comments:
Post a Comment