Kabhi kabhi bin-baat hansi jab aati hai
Yaad teri dabay-paaon phir aa jaati hai
and I remembered you and was smiling ..
Tere aane ki jab khabar mehke
Teri khushboo se saara ghar mehke
Jagjit Singh
Kaise kehdoon ke mulaqaat nahi hoti hai
Roz milte hain magar baath nahi hoti hai
Shakeel Badayuni
Mere hum-nafas, mere hum-nawa,
Mujhe dost banke daghaa na de
Mein hoon dard-e-ishq se jaan-valab,
Mujhe zindagi ki dua na de
Mere daagh-e-dil se hai roshni,
Usi roshni se hai zindagi
Mujhe darr hai aye mere chaaraghar,
Ye charaagh too hi bhuja na de
Mujhe chor de mere haal par,
Tera kyaa bharosa hai chaaraghar
Ye teri nawaazish-e-mukhtasar,
Mera dard aur badhaa na de
Mera azm itna buland hai
Ke paraaye sholon ka darr nahi
Mujhe khauf aatish-e-gul se hai,
Ye kahin chaman ko jalaa na de
Wo uthe hain leke hum-o-subuu,
Arey O 'Shakeel' kahan hain too
Tera jaam lene ko bazm mein, koi aur haath badhaa na de
-Shakeel Badayuni ..
1 comment:
wonderful quote...too realistic to believed.
May your life be filled with all such people.
Post a Comment