Sitaron se aage jahan aur bhi hain
Abhi Ishq ke imtehan aur bhi hain
Tahi zindagi se nahin yeh fazayen
Yahan sankaron karwaan aur bhi hain
Qana'at na kar aalim e rang o boo parChaman aur bhi,
Aashian aur bhi hain
Agar kho gaya ek nasheman to kya gham
Mukamat e aah o faghan aur bhi hain
Tu shaheen hai, parwaz hai kaam tera
Tere saamne aasman aur bhi hain
Isi roz o shab mein ulajh kar na reh jaa
Ke tere zaman o makan aur bhi hain
1 comment:
Aee jok gar hai hosh to duniya se dor bhag
is mainkade mein kaam nahi horhiyar kaa
Post a Comment