Monday, July 6, 2009

Yuhi aaney Jaaney mein

Jis din band karli apni aankhein ,
Kai aankhon se us din aansu barsenge,
Jo kehte hai ki bahut tang kartey hain hum unhe,
Wahi humari ek shararat ko tarsenge…. ……..

Kabhi sheeshay dhundlay hotay hain,
Kabhi manzar saaf nahin hotay…
Kabhi suraj baat nahin kerta,
Kabhi taray ankh badaltay hain…
Kabhi manzil peechay rehti hay,
Kabhi rastay agay chltay hain!!!
Kabhi ankhain deikh nahin saktein
Kabhi Khwaab adhoray hotay hain.

Ab kis sey kahein a jan-e-wafa, a ahl-e-wafakis aag mein jaltay rehtay hain,kiyon bujh key rakh nahin hotay.imkan tu dikhai detay hain

2 comments:

Anonymous said...

and missed out part goes like...

yeh sab sahi tou hai lekin
is ashoob ke manzar naame mein
din raat ke aane jane mein
duniya ke ajaayab khane mein
Kabhi saya karti ankhon ke
paymane tou dikhai dete hain
haathon se agar door sahi
Manzil sey koson door sahi
par door sahi, ranjoor sahi,
zakhmon sey musafir choor sahi
per kis se kahein, "ay-jan-e-wafa"
kuch ghao tu aise hote hain
jinhein zakhmi aap hi dhote hain
bin roye hue aansuon ki tarah
sapne mein chhupa kar rakhte hain
aur sari umar nahin rote
Neendein bhi muhaya hoti hain
sapne bhi door nahin hote
kyon phir jaagtay rehtay hain?
kyon sari raat nahin sotay?

Ab kis sey kahein "ay-jan-e-wafa", a ahl-e-wafa
kis aag mein jate rehte hain,
kyon bujh ke rakh nahin hote
imkan tou dikhai detay hain!!

Frankly speaking very sadistic-masterpiece.

Shouldn't be quoted, not recommended and very risky when written silently without any words around :P

HEMA JOSHI said...

and you know words are not necessary at times