Kahin chaand raaton mein kho gaya, kahin chaandni bhi bhatak gayi
Main chiraag woh bhi bujha hua, meri raat kaise chamak gayi
Meri dastaan ka urooj tha, teri narm palkon ki chaon mein
Mere saath tha tujhe jaagna, teri aankh kaise jhapak gayi
Kabhi hum miley to bhi kya miley, wohi dooriyan wohi faasley
Na kabhi hamarey qadam barhey, na tumhari jhijhak gayi
Tujhe bhool jane ki koshishein, kabhi qaamyaab na ho sakin
Teri yaad shaakh-e-gulaab hai, jo hawa chali to lachak gayi
- Bashir Badar
No comments:
Post a Comment