vahii phir mujhe yaad aane lage hain
jinhen bhulaane mein zamaane lage hain
vo hain paas aur yaad aane lage hain
muhabbat ke hosh ab Thikaane lage hain
sunaa hai hamen vo bhulaane lage hain
to kyaa ham unhen yaad aane lage hain
haTaaye the jo raaste se doston kii
vo patthar mere ghar mein aane lage hain
ye kahanaa thaa un se muhabbat hai mujhako
ye kahane mein mujh ko zamaane lage hain
qayaamat yaqiinan qariib aa rahii hai
'Khumar' ab to masjid mein jaane lage hain
Kumar Barabankavi
No comments:
Post a Comment