Saturday, January 2, 2010

Yaad Karonge Main Jo Na Hu to

Kabhi zindagi meiN agar akela ho
Aur dard hadd se guzar jaaye
AankheN teri
Baat be-baat ro ro parreN
Tab koi ajnabi
Teri tanhai ke chaand ka narm haala banay
Teri qaamat ka saaya banay
Tere zakhmoN pe marham rakhay
Teri palkoN se shabnam chunay
Tere dukh ka maseeha banay!
~Parvin Shakir

No comments: