Bhool gaye afsane kitne,
Bikhre khwab suhane kitne,
Dil to hai ek khwab jazeera,
Usmein hain veerane kitne,
Apno ki tum bat na chhedo,
Apne hain begane kitne,
Mujh ko mujh se chheen ke thoda,
Bante ho anjane kitne...!!!
Bikhre khwab suhane kitne,
Dil to hai ek khwab jazeera,
Usmein hain veerane kitne,
Apno ki tum bat na chhedo,
Apne hain begane kitne,
Jungle-Jungle raunaq dekhi,
Shehron mein veerane kitne, Mujh ko mujh se chheen ke thoda,
Bante ho anjane kitne...!!!
3 comments:
mausam bhi sard tha
halka-halka kohra fehla hua tha
suraj abhi angrai le raha tha, bas jaga-jaga sa tha
bus stand par mein thi aur sannata tha...
ek jaana-pehchana sa anjaan chehara mere pass aaya
haaton mein gulab aur ek khat saath laaya
dete hue mujhse bola
"raat bhar sochata raha ki tujhe kya likhu?
aisa kya nahi likha hai maine pehle tere baare mein,
jo ab likhu?
lafz ab rahe hi nahi hai
bas kore kaagaz par tera naam likh laaya hu
baaki jo tu chahe
jiska tu chahe
naam likh sakti hai
haal-e-dil likh sakti hai
paigam likh sakti hai...
galti se apna pata hi khat par likh laya hu"
bus stand par khadi mein sochati rahi kya jawaab du use,
khat par kya likh kar bhej du use,
bas maine bhi apna naam, uske naam ke saath likh diya
aur khat uske pate par bhej diya.
kitna pagal nikala woh
abhi tak usi naam ko japata rehta hai
kabhi sajda karta hai
toh kabhi aankhon se chum leta hai
kabhi rumal se khat ko saaf kiya karta hai
toh kabhi reshami rumal se lapate liya karta hai...
jaane kaisa mausam tha
jaane aaj kaisa mausam hai...
HAPPY GANESH CHATURTHI TO ALL.....
dil k tukde dekh na payen....isiliye kch log bante hain anjane itne.....
Post a Comment