Thursday, November 10, 2011

Mausam


Ye kaun doob gaya aur ubhaar gaya mujh mein,
Yun kaun saaye ki suraat guzar gaya mujh mein!
Ye kis ke sog main shorida-haal phirta hun,
Wo kuan shakhs tha aisa k mar gaya mujh mein!
Ajab hawa-e-baharaa ne chara-saazi ki,
Wo zakhm jis ko na bharana tha bhar gaya mujh mein!
Wo aadmi ke jo pathhar sa jee raha hai abhi,
Jo aaina tha wo bikhar gaya mujh mein!
Misaal kya k wo jab bhi kareeb say guzara,
Yun laga k koi raqs kar gaya mujh main!
Wo saath tha to ajab dhuup chaaon rehti thi,
Bas ab to ek hi mausam thehar gaya mujh mein!

No comments: