Masoom mohabbat ka bus itna fasana hai,
Kagaz ki haveli hai aur baaris ka zamana hai
Kya shart-e-mohhabbat hai aur kya shart-e-zamana hai,
Aawaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gaana hai
Uss paar nikalne ki ummeed bhi kam hai,
Kashti bhi purani hai aur toofan ko bhi aana hai
Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke,
Ek shakhs ko aankhon se ek sher sunana hai
Bholi si ada koi fir ishq ki zid par hai,
fir aag ka dariya hai aur doob kar jana hai
No comments:
Post a Comment