Wednesday, June 18, 2014

Time waits for no one

Waqt ka kya bharosa banke paani beh jaaye
kal agar na mil paaye reh na jaaye baat baaki........


Na mohobat na dosti ke liye waqt rukta nahi kisi ke liye .....


Wish I could be with you just once more .. I don't look a lot into tomorrows or plan for them they might not be there , which does not mean I am pessimistic or  ready to kick the bucket  or   don't think about tomorrow .  It just means I want to live in today  not wait till tomorrow to celebrate. Live life each day not watch it    flow like water right below my nose .... and say at the end I wish I would have done that  rather I want to say  hey you know I did that .....

dil ko apne saja na de yuun hi - 
iss jamaane ki berukhi ke liye


kal jawaani ka hashrr kya hoga 
soch le aaj do ghadi ke liye

har koyi pyaar dhundata hai yahaan 
apani tanhaa si jindagi ke liye 

waqt ke saath saath chalata rahe
yahin behatar hai aadami ke liye

1 comment:

ROMIL ARORA said...

waqt...
jaise thehar sa gaya ho
do ghadi kya ek pal ke liye bhi na chala ho...

tum maano ya na maano
main sach keh raha hoon...
waqt...
jaise thehar sa gaya ho...
wahi kahin ruka sa pada ho...

nazarein pathar si ho chuki hai
rukshati ke pal bhi dost ka noor sa chehara jo na dekh saki hai
nazarein pathar si ho chuki hai
ya fir koi sadma kha chuki hai.

main sach keh raha hoon...
waqt...
jaise thehar sa gaya ho...
wahi kahin ruka sa pada ho...

aankhon ki palkhon mein aansoo ki boondein ataki si padi hui hai
jaise barson se chalki hi nahi hai
sanam ke aakhiri khat mein uske khoon ki cheetein dekhati hi ja rahi hai
ya fir koi zehar pi rahi hai.

raat na jaane kab subah mein tabdeel ho jaati hai
aankhein bas khuli ki khuli hi rehti hai
mann na jaane kya sochata rehta hai
mujhe khud nahi pata
ya fir koi khawab saanp ban daasa ja raha hai.

main sach keh raha hoon...
waqt...
jaise thehar sa gaya ho...
wahi kahin ruka sa pada ho...

aaj tak dhahad kar ro bhi nahi saka hoon
koi baahein thi hi nahi jisse lipat main sakta
dhahad kar ro-ro main sakta
aaj bhi jaise aankhon mein maa ki chhita jal rahi ho
ya fir koi in aankhon mein jal raha hai

main sach keh raha hoon ro+mil
waqt...
jaise thehar sa gaya ho...
wahi kahin ruka sa pada ho...