sunaa karo merii jaan in se un se afsaane
sab ajnabii haiN yahaaN kaun kis ko pahchaane
(afsaane : fiction, stories; ajnabii : strangers)
yahaaN se jald guzar jaao qaafile vaaloN
haiN merii pyaas ke phuuNke hu’e ye viiraane
(qaafilaa : caravan; viiraane : ruins)
merii junuun-e-parastish se tang aa gaye log
sunaa hai band kiye jaa rahe haiN but-Khaane
(junuuN : frenzy; parastish : worship; but-Khaane : idol temple)
jahaaN se pichhle pahar ko’ii tashnaa-kaam uThaa
vahiiN pe toRe haiN yaaroN ne aaj paimaane
(tashnaa-kaam : thirsty; paimaane : cups)
bahaar aaye to meraa salaam kah denaa
mujhe to aaj talab kar liyaa hai sehraa ne
(bahaar : spring; talab : called for; sehraa : desert)
hu’aa hai hukm ke “Kaifi” ko sang-saar karo
masiih baiThe haiN chhup ke kahaaN Khudaa jaane
(hukm : judgement; sang-saar : stoning; masiih : messiah)
Kaifi Azmi
No comments:
Post a Comment