RAHOON PE NAZAR RAKHNA
HOTOON PE DUA RAKHNE
AA JAYE KOI SHAYAD
DARWAZA KHULA RAKHNA
EHSAAS KI SHAMMA KO
IS TARAH JALA RAKHNA
APNI BHI KHABAR RAKHNA
USKA BHI PATA RAKHNA
This is a Bhupinder- Mitali ghazal that has been long fave .
Koi dost hai na rakeeb hai,Tera shehar kitna ajeeb hai
Woh jo ishq tha woh janoon tha,Yeh jo hijr hai yeh naseeb hai !
Yahan kis ka chehra pada karoon,Yahan kaun itna qareeb hai !
Main kisey kahoon meray saath chal,Yahan sab kay sar pay saleeb hai !
Koi dost hai na rakeeb hai,Tera shehar kitna ajeeb hai !
This one is by Jagjeet Singh
Huzoor aapka bhi, ahtraam karta chaloon,
Idhar say guzra tha saucha, salaam karta chaloon !
Nikha-o-dil ki, yahi aakhri tamanna hai,
Tumhari zulf kay, saayey mein shaam karta chaloon !
Huzoor aapka bhi ahtraam karta chaloon...
Unhay yeh zid ki, mujhay dekh kar kisi ko na dekh,
Mera yeh shauk ke, sabsay qalaam karta chaloon !
Yeh meray khabon ki, duniya nahin sahi lekin,
Ab aa gaya hoon, to do din qyaam karta chaloon !
A world of depth :)
Tere Vaade pe jo Jiye Hum
To yeh Jaan Jhoot Jana
Ke khushi se mar na Jaate
Agar Aitbaar Hota
No comments:
Post a Comment