Main to Khusboo hu fizaoon mein bikhar jaaonga
— Moin Nazar —
Mili havaaon mein udane ki vo saza yaaro
Ke main Zameen ke rishte se kat gaya yaaron
– Waseem Barelvi
Jadoo hai ya tasleem tumhari zubaan mein
Tum jhoot keh rahe the mujhe aitbaar tha
Bekhud Dehlvi
Andheri raat ko yeh mojeza dikhyenge hum
chirag gar na jala to apna dil jalayenge hum
Ahmed Nadeem Kasmi
yeh surkhiyaan hain, musalsal mer'e fasaan'e ki
Yeh daastaan'e alam kab rahi sunaan'e ki
wo kya phir'e ke nazar phir gaii zamaan'e ki
abhi se aapki aankhon mein aa gaey aansu
abhi to apni kahaani kahi nahin maine
Hamaari Ankh Mein jab tak they , chand aansu they
yeh ashk phool ban'e aap hi ke daaman mein
dil ke kahn'e mein aa gaeen aankhein
jaan kar choat kha gayyen aakhein
hoash itna kahaan ke batlaaun
maine pii, ya pila gaeen aankhein
koi saaghar jo saamn'e chalka
aapki yaad aa gaeeN aaNkeiN
Saalik Lucknavi
No comments:
Post a Comment