Wednesday, February 13, 2013

Hamara Ghar

Ye tera ghar ye mera ghar…kisi ko dekhna ho gar,
toh pehle aa k maang le meri nazar teri nazar,



Ye ghar bahot haseen hai..


Na baadlon ki chhaon mein,na chandni ke gaon mein,
Na phool jaise raaste,bane hain iske waaste,
Magar ye ghar haseen  hai,dilon ke ye kareeb hai,
yeh eent pattharon ka par,hamari hasraton ka ghar..


Ye tera ghar ye mera ghar..


Jo chandni nahi toh kya,ke roshni hai pyaar ki,
Dilon k phool khil gaye,toh fikr kya bahaar ki,
Hamare ghar na aayegi kabhi khushi udhaar ki,
Hamari raahaton ka ghar,hamari chahaton ka ghar..


Ye tera ghar ye mera ghar..

Yahan mehak wafaon ki,mohabbaton ka rang hai
Ye ghar tumhara khwab hai,ye ghar meri umang hai,
Na aarzu pe qaid hai,na hausle pe zung hai,
Hamare hauslon ka ghar,hamari himmaton ka ghar..


Ye tera ghar ye mera ghar..


Ye ghar bahot haseen hai…

2 comments:

ROMIL ARORA said...

sorry.

ROMIL ARORA said...

Radha Soami Ji...

1. माफ़ी माँगने से कभी यह साबित नहीं होता कि हम गलत और वोह सही है
.
.
.
माफ़ी का असली मतलब है कि हममें रिश्ता निभाने की काबिलियत उससे ज्यादा है।
*****

2. प्रभु के सामने जो झुकता है वह सबको अच्छा लगता है
लेकिन
जो सबके सामने झुकता है वह प्रभु को अच्छा लगता है।